Khwab

Krishnendu Sanyal
2 min readFeb 5, 2024

“Khwab?
Khwab kya hai?”

‘Chhal(छल)’
Ek aisa chhal, jo hum sab jeena chahte hai.”

“Par khwab agar chhal hai, to har zinda insaan isey jeena kyu chahta hai?
Aur iske toot jane par, isey sajane wala, khud bhi kyu toot jata hai?
Aur kya kahoge tum uske baare me, jo baar baar toot kar bhi naye khwab bunn leta hai?”

Khwab ummid deta hai aur ummid, jeene ki chah;
Fir chahat wajah ban jati hai, zindagi ke hone ki.
According to medical science, a person is declared dead only when his heart stops functioning.
Khwabon ka thikana bhi to dil hota hai,toh jab dil me base khwab toot jaye, toh bhala inhe sajane wala kaise na toote?
Jab koi cheez toot jati hai, aur hum samjh jate hai ki ye ab doobara jud nahi sakta;to kya karte hai?
Jab apke seene me wo tukde itne bikhar jate hai, ki saanson ke theherne ki jagah nahi bachti; to kya karte hai?
Jeene ke liye, saanson ki jagah to banani paregi na?
To hum samet-te hai unn tukdo ko, aur baha dete hai, usey aansoo ka naam dekar;
Kagaz ke tukdo par, likh dete hai nazm us-se, usey siyahee ka nam dekar.
Aur fir bhi agar bach jaye to dafan kar dete hai unn tukdo ko,
Pata hai, jab ek khwab dafan hota hai, to usey bun-ne wala bhi, uske sath dafan ho jata hai.
Par, Kisi ne kaha tha ki hum ek zindagi me, kayi zindagiyaan jeete hai;
To suruwat hone ke Pehle, ant hona bhi to zaroori hai, hai na?
Aur mai aksar kaha karta hu, ki jo khwab dekh raha hai, ya khwab jee raha hai, kewal wahi jee raha hai;
Zindagi ko mukkamal karne wala, khwab hi to hai.
Pata hai, qayanat jab aapko ek nayi zindagi dena chahta hai, to wo apko ek naya khwab dikhata hai.
Khwab? Chhal hai.
Aur ye chhal hi, fir zindagi se mohhabat karne ki wajah ban jata hai.
Khwab ek aisa chhal hai, jo kabhi kabhi mukkamal bhi ho jata hai;
Kyuki chahat me, takat to hoti hai.

--

--

Krishnendu Sanyal

Journalist and writer. Everything else is stupid details.